Wednesday, January 26, 2011
Thursday, January 20, 2011
Saturday, January 15, 2011
Tuesday, January 11, 2011
" Hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha " Parveen Shakir >>
hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
tere shanon pe koi chat nahin thi
mere zimme koi angan nahin tha
koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya
Hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
hawa-e-dasht ki manin
dtu azad tha
raste teri marzi k tabe the
mujhe bhi apni tanhai pe
dekha jaye to
pura tasarruf tha
magar jab aj tu ne
rasta badla
to kuch aisa laga mujh ko
keh jaise tu ne mujh se bewafai ki
" Sundar komal sapnon ki barat guzar gai janan " >> Parveen Shakir >>
Sundar komal sapnon ki barat guzar gai janan
dhup ankhon tak a pahunchi hai rat guzar gai janan
bhor samay tak jis ne hamain baham uljhaye rakha
wo albeli resham jaisi bat guzar gai janan
sada ki dekhi rat hamain is bar mili to chup k se
khali hath pe rakh k kya saugat guzar gai janan
kis konpal ki as main ab tak waise hi sar-sabz ho tum
ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai janan
log na jane kin raton ki muraden manga karte hain
apni rat to wo jo tere sath guzar gai janan
" Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi " >> Parveen Shakir >>
Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi
tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye
tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai
tumhare ohad ki denen tumhen mubarak
so tum ne mera swagat usi tarah se kiya
jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
takallufan mere nazdik a k baith gaye
phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya
kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli
adab par bhi koi do char tabsare faramaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha
kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat
pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai
ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai
gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
rawayatan hi sahi koi bat to karte
" Dasht-e-shab par dikhai kya dengi " >> Parveen Shakir >>
Dasht-e-shab par dikhai kya dengi
Silawaten roshani main ubhrengi
Ghar ki diwaren mere jane par
Apni tanhaiyon ko sochengi
Ungaliyon ko tarash dun phir bhi
Adatan us ka nam likkhengi
Rang-o-bu se kahin panah nahin
Khwahishen bhi kahan aman dengi
Ek khushbu se bach bhi jaun agar
Dusari nikahaten jakar lengi
Khirkiyon par dabiz parde hon
Barishen phir bhi dastaken deng
Hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha >> Parveen Shakir >>
>> Parveen Shakir >> Hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
Hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha
Tere shanon pe koi chat nahin thi
Mere zimme koi angan nahin tha
Koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya
Kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama
Hawa-e-dasht ki manind
Tu azad tha
Raste teri marzi k tabe the
Mujhe bhi apni tanhai pe
Dekha jaye to
Pura tasarruf tha
Magar jab aj tu ne
Rasta badla
To kuch aisa laga mujh ko
Keh jaise tu ne mujh se bewafai ki
" Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi " By Parveen Shakir
Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi
Tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
Tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye
Tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai
Tumhare ohad ki denen tumhen mubarak
So tum ne mera swagat usi tarah se kiya
Jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
Takallufan mere nazdik a k baith gaye
Phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya
Kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli
Adab par bhi koi do char tabsare faramaye
Magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha
Kiya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat
Pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai
Ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
Ghabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai
Gham-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
Rawayatan hi sahi koi bat to karte
Subscribe to:
Posts (Atom)