Saturday, July 3, 2010

Ab Ke Ham Bichhray Tu Shayd Kabhi Khwabon Mein Milain

Ab ke ham bichhray tu shayd kabhi khwabon mein milain,

Jiss tarah sookhy huey phool kitabon mein milain.

Dhoond ujray huey logon mein wafa ke moti,

Ye khazany tujhy mumkin hain khrabon mein milain.

Na Khuda main hoon,Na tera ishaq Farishtoon jesa,

Doonon insane hain,tu kiyon itne hijaboon mein milain

Gham-e-dunya bhi gham-e-yar mein shamil kar lo,

Nasha barhta hy shrabain jo shrabon mein milain.

Aaj ham daar pe khanche gai jin baton par,

Kal ye mumkin hy zamane ko nisabon mein milain.

Ab na who mein hon,na tum ho,na who mazi he Faraz,

Jaisy do saeiy tamanna ke sarabon mein milain. E-Mail:amanatali88pk@yahoo.com

No comments:

Post a Comment